Wo jab bhi muskaraye

 

Woh jab bhi muskaraaye, bahaar chha gayi hai
Nafeesa ke labon se dua nikal gayi hai

Nazaare sab thehar kar use hi dekhte hain
Ke jaise husn ki inteha nikal gayi hai

Nazar se dil talak, ek silsila chala hai
Yeh ishq ki koi ibtida nikal gayi hai

Har ek baat mein uska naam aa hi jaata hai
Mere khayaal par woh chhaa gayi hai, chhup gayi hai

Khuda bhi shayad us pe naaz karta ho
Nafeesa jaisi jab shakal ban gayi hai

Woh haath thaam le to waqt ruk sa jaaye
Yeh zindagi bhi kitni khoob ban gayi hai

"Rana" ko ab kisi aur khwab ki haajat nahin
Mohabbat us ki dil ki jaan ban gayi hai